khandan aur khoon ki pehchan?

0
Sultan Mahmood Ghaznavi ka darbaar laga hwa tha. darbaar mein hazaron afraad shareek thay jin mein aulia qutub aur Abdal bhi thay. Sultan Mahmood ne sab ko mukhatib kar ke kaha koi shakhs mujhe hazrat khizar alaihi salam ki ziyarat kara sakta hai. sab khamosh rahay darbaar mein betha ik ghareeb dehati khara hwa aur kaha mein ziyarat kara sakta hon.
Sultan ne sharait poochi to arz karne laga 6 mah darya ke kinare chilla kaatna ho ga lekin mein ik ghareeb aadmi hon mere ghar ka khrcha aap ko uthana ho ga Sultan ne shart Manzoor kar li is shakhs ko chilla ke liye bhaj diya gaya aur ghar ka kharcha badshah ke zimmay ho gaya. 6 mah guzarnay ke baad Sultan ne is shakhs ko darbaar mein haazir kya aur poocha to dehati kehnay laga huzoor kuch wazaif ultay ho gaye hain lehaza 6 mah mazeed lagen ge. mazeed 6 mah guzarnay ke baad Sultan Mahmood ke darbaar mein is shakhs ko dobarah paish kya gaya to badshah ne poocha mere kaam ka kya hwa yeh baat sun ke dehati kehnay laga badshah salamat kahan mein gunehgaar aur kahan hazrat khizar alaihi salam mein ne aap se jhoot bola mere ghar ka khrcha poora nahi ho raha tha bachay bhook se mar rahay thay is liye aisa karne par majboor hwa. Sultan Mahmood Ghaznavi ne apne ik wazeer ko khara kya aur poocha is shakhs ki saza kya hai. wazeer ne kaha janab aliiiii is shakhs ne badshah ke sath jhoot bola he. lehaza is ka gala kaat diya jaye. darbaar mein ik noorani chehray walay buzurag bhi tashreef farma thay, kehnay lagey badshah salamat is wazeer ne bilkul theek kaha badshah ne dosray wazeer se poocha aap btao is ne kaha janab aliiiii is shakhs ne badshah ke sath fraud kya hai is ka gala nah kaata jaye balkay usay kutton ke agay dala jaye taakay yeh zaleel ho ke marey usay marnay mein kuch waqt to lagey darbaar mein baithy isi noorani chehray walay buzurag ne kaha badshah salamat yeh wazeer bilkul theek keh raha hai. Sultan Mahmood Ghaznavi ne apne pyare ghulam Ayaz se poocha tum kya kehte ho Ayaz ne kaha badshah salamat aap ki badshahi se ik saal ik ghareeb ke bachay paltaay rahay aap ke khazanay mein koi kami nahi aayi. aur nah hi is ke jhoot se aap ki shaan mein koi farq para agar meri baat manen, to usay maaf kar den. agar usay qatal kar diya to is ke bachay bhook se mar jayen ge. Ayaz ki yeh baat sun kar mehfil mein betha wohi noorani chehray wala baba kehnay laga Ayaz bilkul theek keh raha hai Sultan Mahmood Ghaznavi ne is baba jee ko bulaya aur poocha aap ne har wazeer ke faislay ko durust kaha is ki wajah mujhe samjhai jaye. baba jee kehnay laga badshah salamat pehlay number par jis wazeer ne kaha is ka gala kaata jaye woh qoum ka qasai hai aur qasai ka kaam hai galaay kaatna is ne apna khandani rang dekhaya ghalti is ki nahi aap ki hai ke aap ne ik qasai ko wazeer bana liya. dosra jis ne kaha usay kutton ke agay dala jaye uss wazeer ka waalid badshahon ke kuttay nhlaya karta tha kutton se shikaar kheltaa tha is ka kaam hi kutton ka shikaar hai to is ne apne khandan ka taaruf karaya aap ki ghalti hai ke aisay shakhs ko wizarat di jahan aisay log wazer hon wahan logon ne bhook se hi marna hai aur teesra Ayaz ne jo faisla kya to Sultan Mahmood suno Ayaz syed zaadah hai syed ki shaan yeh hai ke syed apna sara khandan karbalaa mein zibah kara deta hai magar badla lainay ka kabhi nahi sochta. Sultan Mahmood apni kursi se khara ho jata hai aur Ayaz ko mukhatib kar ke kehta hai Ayaz tum ne aaj tak mujhe kyun nahi bataya ke tum syed ho Ayaz kehta hai aaj tak kisi ko is baat ka ilm nahi tha ke Ayaz syed hai lekin aaj baba jee ne mera raaz khoola aaj mein bhi aik raaz khol deta hon. ae badshah salamat yeh baba koi aam hasti nahi yahi hazrat khizar alaihi salam hain.
Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)