Dilchasp o ajeeb naseehat.

0

1 shakhs bohat hi ghareeb tha. is ne apni biwi se mahswara kya ke aik Raees aadmi ke haan ghulami ki jaye. uski biwi ne ijazat day di. uski biwi ne abhi pehla beta hi nahi peda kya tha. ke apni biwi ko bhari jawani mein chore kar ghulami mein chala gaya. taa ke anay walay bachay ka behtar mustaqbil ban jaye. woh daur draz aik shehar mein chala gaya. aur 20 saal is raees aadmi ki khidmat ki. 20 saal baad Raees aadmi se ijazat li. ke woh ab ghar jana chahta hai. Raees aadmi sakhi bhi tha. 
is ne bohat saari bakriyan gaaye bhens aur oont diye. aur Ameer aur malaa maal bana kar wapas bheja. woh wapas aa raha tha. ke sehraa se guzar hwa aur rastay mein usay aik jhonpari mili. is mein aik darwaish aadmi tha. is ke paas raat guzari ghareeb shakhs ne raat ko darwaish aadmi se guzarish ki ke woh usay naseehat kere. darwaish ne kaha ke mein naseehat to karoon ga. lekin mein naseehat karne ki qeemat wusool karta hon. is ne qeemat poochi. kaha ke har naseehat ke badlay aik oont. is ne kaha ke mein maal daar hon naseehat mil jaye. to oont ki koi baat nahi. is ne qeemat ada ki.
Bazurg ne naseehat ki.
jab bhi aasman par tary aik line mein daikhon to forun kisi pahar par chalay jana. selaab aae ga. is shakhs ne kaha. ke yeh naseehat kisi kaam ki nahi. mujhe koi aur naseehat ki jaye. darwaish ne kaha. ke nui qeemat ada karo. is shakhs ne aik aur oont diya buzurag ne kaha. ke jab bhi kisi shakhs ki aankhon mein shaytani chamak daikhoo. to is se bachna woh tumhe qatl kar day ga. is shakhs ne kaha. ke yeh naseehat kisi kaam ki nahi. mujhe koi aur naseehat ki jaye. darwaish ne kaha. ke nui qeemat ada karoo.is shakhs ne aik aur oont diya.
 buzurag ne phir naseehat ki ke raat ko pachta kar so jana.laiken kabhi bhi kisi insaan ko qatl nah karna.

is shakhs ne socha ke teen oont zaya ho ge. aur chup kar ke so gaya. subah woh chal diya. safar lamba honay aur kayi din ka safar honay ki wajah se woh Naseehaten bhool gaya. ke woh aik raat aik gaoN mein ponchta hy. raat ko jab woh sonay lagta hai to asman par daikhta hai. ke tmam setaaray aik line mein agay hai. usko darwaish ki naseehat yaad ajati hai. woh shor mchata hai. gaon walon pahar par chaloo. selaab anay wala hai. log is ka mazaaq uratay hain. woh apna maal. khol kar pahar par le jata hai. aur so jata hai. subah uthta hai. to daikhta hai. ke neechay selaab agaya hai. aur saaray gaoN walay. ghark ho jatay hain. woh kuch din pahar par rehta hai. selaab ka pani utartaa hai. to woh agli manzil par chal parta hai. aik aur gaoN mein prdao dalta hai. 1 shakhs ke ghar qiyam karta hai. jo ke baatein karne ka woh bohat hi acha maloom hota tha.lekin is ki aankhon mein wohi shaytani chamak dekh kar choank jata hai. buzurag ki naseehat usay yaad aati hai. raat ko woh isi kash makash mein usay neend nahi. aati. woh utha. aur bistar ko is andaaz se phela diya. ke maloom hota tha ke koi soya hwa hai. woh aadmi aaya. is ke haath mein khanjar dekh kar woh pareshan hwa. woh aaya aur bistar par khanjar maarna shuru kar diya. yeh aaya. aur usko peechay se pakar kar maarna shuru kardiya. aur usay bandh diya. police ko bulaya aur is ko police ke hawalay kar diya. aakhir-kaar woh raat ko apne gaoN mein pnchta hai. aur apne ghar ke paas pahonch kar daikhta hai. ghar mein uski biwi kisi nojawan ke sath wali charpayee par soi pari hai. is shakhs ko gussa aaya. aur dil mein khayaal aaya ke mein is nojawan ko qatl kar dun. jaisay hi woh iradah karta hai. usay is darwaish ki baat yaad aati hai. ke kabhi bhi qatl kar ke nah sona. pachta kar sojana. woh sochta hai. ke pehli bhi naseehat kam kar gi. doosri naseehat ne bhi kaam kya. lehaza woh gaon se bahar ajata hai. subah hoi is ke dil mein khayaal aaya ke gaon walon se apna haal daryaft karoon. jaisay hi gaon mein jata hai.apne baray mein daryaft karta hai. gaon walay batatay hain. ke woh shakhs bohat hi ghareeb tha. aur barson pehlay rozi roti ke liye chala gaya. is ne mazeed daryaft kya ke jab woh jane laga to bacha honay wala tha. gaon walon ne bataya. haan Allah ne usay aik beta diya hai. jo ke ab kadiyal jawan ho gaya hai. is ke zehen mein aaya jo raat ko nojawan tha woh Meera hi beta tha.
 jisay qatl karne ka khayaal is ke dil mein aaya tha. woh ghar gaya. aur biwi aur betay se mila.to doston sach hi kehte hain. agar koi bhi bara aap ko naseehat kere to is ko Pallay se bandh lena chahiye. aajkal buzurag naseehat kere to aulaad agay se daant dete hain. har naseehat par ghhor karna chahiye. jo ghhor nahi karte woh phir pachhtatey hain.

Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)