Mere abbu ka jab intqaal hwa to account mein sirf baara so rupay thay adakar Furqan Qureshi ki zindagi ki talkh kahani.

0
kehte hain zindagi mein manzil se mulaqaat karne ke liye kaanton bharay safar se guzarna parta hi hai.
kuch aisa hi safar adakar Furqan Qureshi ne bhi tay kya.' ' khuda mera bhi hai' ',' ' 
Mere paas tum ho' ',' ' Bharas' ',' ' Log kya kahin ge' ' aur aaj kal Raqs bismal ke ilawa kayi deramo mein adakari ke johar dikhaane walay Furqan Qureshi ki zindagi ki kahani bohat talkh aur mushkilaat se bhari hai. aik larka jis ki Umar sirf bees saal thi aur jo apni do behnoon se chhota tha. parhai sirf A levels thi lekin ghar mein zaroriat kaafi achi terhan poori hoti theen.
aur aik din achanak is ke waalid duniya se chalay gaye.
waalid ke jane ki khabar to aik dukh tha hi lekin sath hi yeh pahar bhi takleef da tha ke jatay hue un ke account mein itna bhi nahi tha ke guzaraa ho sakay.
baara so(1200) rupay is gharane ke liye aik aisa sawal thay jinhon ne Farqan Qureshi ke kaandhon ko jhuka diya.
ghar ka kiraya hi chabis hazaar (2600)tha aur barri behan ki thankhowa sirf tees hazaar(30000).
lekin Farqan ki dono behnoon ne chup chaap Farqan aur ghar ki zimma daari kayi saloon tak uthai baghair kuch kahe.
Farqan ka kehna hai ke mein itna patla tha ke log kehte thay ke ab gaya kab gaya.

phir kyunkay andaza nahi tha ke gurbat dekhni parre gi is liye woh andaaz bhi nahi thay aur jab kisi ne mahswara diya ke adakari karo to is safar ko chay saal tak behnoon ke aasre par hi tay kya.
jaib mein do so se dhai so rupay hotay thay aur log kehte thay ke wazan brdhao, anday khao, protein shake piyo.
mein kehta tha ke pait bhar khana nahi khata to yeh sab cheeze kahan se laon.
aisa nahi hai ke khana hota nahi tha lekin meri ghairat khatay hue mere hathon ko ziyada khanay se rokti thi.
chhootey motay kirdaar mlitay thay aur kayi naam Nihaad producers ne mujhe bohat pagal banaya.
aik din mujhe mere dost Mohammad Ahmed ne kaha bhai apna Hulya change karo. phir dekhna kamaal
yeh woh log thay jo bas industry mein thay lekin inhen khud sirf mazay lainay atay thay kisi naye astragling larkoon ke. woh inhen dhabe mein, naai ki dukaan par kahin bhi bulaa kar aadishn letay thay aur hanstay thay.

mujhe bhi silon par bulaa kar kaha ke adakari karo ke tumhari maa mrgyi hai. kyunkay is waqt khud ko manwane ki jad-o-jehad mein tha to yeh bhi kya aur aisa kayi baar kya. jab pehli baar hum TV products ke mahesh ne mujhe lead rule ke liye bulaya to aisa laga ke cheekhain maar maar kar ro dun aur mein ne bahar nikal kar aisa hi kya to guard bhi mujhe tasalliyan dainay laga.
mahesh ne kaha ke project ke chaar laakh le lo to mein heran hogaya ankhen khuli ki khuli reh gayeen mahesh sir ne kaha agar chaar laakh kam hai to paanch laakh theek hai mein ne kaha jee jee bilkul theek hai. mujhe aisa laga ke yeh koi khawab hai kyunkay do dhai hazaar se oopar to socha hi nahi tha.

Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)