Bing min apni website ko kis trhan Sy rank kren aor bing KY Liye keyword kaisay search karte hain.

0
Dostoo khush aamdeed kehta hon aap ko apne blog par aaj mein aap ko aik aisa secret bitanay wala hon jis ko use kar ke aap naye ya porany blog par foran country se traffic laa satke ho.
ab yeh jo strategy bitanay wala hon yeh meri personal strategy hai.
pehlay mein yeh soch raha tha ke is strategy ko aap ke sath share karoon ya na karoon.
kaafi time sochnay ke baad mein ne yeh decide kya ke aap logon ne bloging start hi is liye ki hai ke aap is se paisay kama sako. aur paisay kamanay ke liye blog par traffic ka aana bohat ziyada zaroori hai. yeh aik organic tareeqa hoga aisa nahi hai ke feq traffic ho yeh bilkul original ho gi aor search engine se hundred percent sahih tareeqay se.

is Sy kuch bhi aap ko problem nahi aaye gi yeh na sochen ke is se aap ke Google adsen ko problem aaye gi ya aap aap ke blog ko koi mslah banay.
lekin karna kya hai aap ne mere is blog ko fallow zaroor karna hai kyunkay mein is par aisi post uplod karta rehta hon jis se aap ka bohat ziyada faida ho sakta hai.


to chaliye mein aap ko strategy batata hon.

pehlay aap ko concept samjhaao ga is ke baad strategy ko fallow karna.
jo bhi aap ke sath strategy share karta hon is mein time lag sakta hai lekin hoti woh bilkul original hai. to isi terhan is par bhi time lag sakta hai lekin faida zaroor hoga aap ko.
dostoo agar aap pehlay strategy ko samjhna fallow karna phir wait karna seekh jatay ho to bohat ziyada traffic aaye ga jis se aap lakhoon rupiya kama sakte ho.
aap ne suna hoga ya aap ko pehlay se hi pata ho ke search engine kya hotay hain. agar nahi pata to mein bta deta hon.
jahan par hum likh kar search karte hain jaisa ke Google jis ka to sabhi ko pata hoga is ke ilawa aik aur hai jo taqreeban Google jitna hi hai ya is se thora kam ho Sakta hy search engine hai is ka naam hai bing aur bhi bohat saray hain lekin is ko ziyada tar istemaal USA, China mein istemaal kya jata hai.
to yahan par hum kya strategy apnane walay hain ziyada tar log apne blog ko Google mein rank ki koshish karte hain lekin jitne log apne blog ko Google mein rank krwany koshish kar rahay hain is wajah se Google mein competition bohat ziyada hai .
agar koi keyword hai,
jaisa ke online paisa kaisay kamaain usay aap Google mein rank karwana chahain to wahan par compitition bohat ziyada honay ki wajah se bohat ziyada mushkil hai ke aap usay rank kar payen,
lekin agar aap usay bing mein rank karwana chahain to wahan par compitition kam hai usay wahan aap jaldi rank karwa satke hain,
kyunkay wahan competition bohat kam hai.
to hamari strategy yeh hai ke hum bing mein keyword ko kaisay find kar satke hain, jin ko log bing mein likh kar search karte hain aur usay hum kaisay article mein istemaal kar satke hain.
aur usay rank kaisay karwa satke hain.
ya aap ne kis terhan apne blog ko bing mein rank karna hai to yeh saari ki saari strategy mein aap ke sath share karne wala hon l.
yahan par mein aap ka aik daot clear kardoon aisa nahi hai ke aap ka article Google mein rank nahi kere ga,
ya aap pehlay se sirf Google mein rank karwanay ke chakkar mein apne blog ko dad karwa baithy hain matlab ke is par kuch bhi traffic nahi aata.
to aap dono ko fallow karen bing mein aap ka article jaldi rank kar jaye ga aur is terhan se is ki value Google mein bhi bherne lagey gi aap ko bing se anay wali traffic se bhi earning hogi aur Google se anay wali traffic se bhi.
agar sirf Google par hi lagey rahay to bohat mushkil hai ke aap wahan se jaldi earning karna shuru kar den.
agar sath mein bing ka sahara letay hain to yeh jaldi ho sakta hai.
aur jin ko abhi tak Google adsense ka approval nahi mila to un ko traffic ke anay ki wajah se Google adsense ka approval bhi mil jaye ga.
bing mein rank karwanay ka process aik baar hi karna hai aap ne baar baar karne ki zaroorat nahi.
aap logon ne Google search console ka to suna hoga jahan par hum apne blog ka link submit karte hain.
isi terhan ka aik bing ka bhi search console hai, jahan par hum ne apne blog ka link submit karna hai wahan par verify karna hai.
sab se pehlay Google open karna hai is par search karna hai bing web master.
to yeh first par hi aa jaye ga usay aap ne open kar lena aur is ke andar aap ne apne Google Gmail account se log in ho jana hai.
aur is ke andar aap Google search console ke zariye aap apni Website ko add kar satke hain.
ya phir aap manually add kar len mein suggests karoon ga ke aap manually hi add karo.
apni Website ka URL. copy kar ke paste karo aur is ke baad add ke opar click kar do.
click karne ke baad aap ke samnay jo window khulay gi woh verification ke liye open ho gi.
aap ne HTML meeta tag ke opar click kar dena hai is ke baad aap ne is code ko copy kar lena copy kar lainay Ky baad agar aap ki Website word press par hai to aap ne appearance par aa jana hai is ke baad aap ne theme file editor par click kar dena hai is ke baad i Insited par click kar dena HTML open ho jaye gi right side par aap ne aik file dhondne hai Haider file PHP ke opper click kar dena hai aur is HTML walay section mein khil jaye gi aap ne Haider ke neechay paste kar dena hai jo aap ne code copy kya tha.
aur neechay update file par click kar dena hai.

yeh to hogaya WordPress ka tarika agar aap ki Website blogger par hai to aap ne dash board mein aa jana hai.
aur theme par click kar dena aur is ke baad aap ne is arrow ke opar click kar dena hai.

is ke baad dostoo aap ne edit HTML par click kar dena hai.
head ke neechay ja kar aap ne us code ko paste kar dena hai. aur seve ke opar click kar dein. blagr par is terhan se karte to dono ka tareeqa mein ne aap ko bta diya hai.
wapas aap ne bing par aa jana hai aur apne verify par click kar dena hai.
is ke baad dostoo aap ne sitemap submit karna hai is ka tareeqa car yeh hai.
sab se pehlay aap ne un three line par click karna hai aur is ke baad aap ne sitemaps par click kar dena hai.
sitemaps par click karne ke baad aap ne submit sitemap par click karna hai.

aur aap ne apni Website ka yahan par sitemap submit kar dena hai thori der processing hogi aur five ya ten minute tak aap ka sitemap submit ho jaye ga.
aur is ke aap ko post bing mein index hona start ho jayen gi SEO ki madad se yeh jitna bhi hum ne kaam kya hai yeh saaray ka sara SEO friendly hai.
bing mein keywards kaisay search karte hain.
dostoo Google ka to aap ko pata hi hai ke aap Google mein keyword kaisay search karte hain.
ab mein aap ko bta deta hon ke aap bing mein kaisay keyword talaash kar satke hain.
is ke liye aap dostoo direct Google mein search kar len.
AHREFS yeh likh kar aap search karen ge to aap ke samnay yeh page aa jaye ga.
aap ne is ko open kar lena hai is ke baad aap ne bing ke opar click kar dena hai aur search mein aap ne apna keyword type karna hai country aap ne UAS he rehne den kyunkay bing USA mein aur China waghera countries mein istemaal hota hai.

baqi aap ko Keywards ka volume ka sara pata hoga agar nahi pata to aap comment box comment kar den mein agli post is ke opar likh dun ga.
umeed karta hon ke aap ko is post se zaroor kuch seekhnay ko mila hoga agar post aap ko achi lagi hai to usay share zaroor karen.
agar koi bhi bloging ke related aap ka sawal hai to aap woh bhi comment kar ke pooch satke hain.
Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)