apni Website par kis terhan se traffic barhayain.

0

apni Website par kis terhan se traffic barhayain.

Aap apni Website par traffic kis terhan barha satke hain.
bohat saaray aisay log hain jo Website ya to khud banatay hain ya kisi se bnwate hain.
aur aksar aisay bhi log hain jin ki Website blogger par hai.
log kisi nah kisi terhan se Website to bana letay hain lekin is ko is mukam tak nahi le ja paate jis jagah aik achi khasi traffic is par visit kere, aur is Website se aap ko achi khasi income haasil ho.
jab bhi koi bunda Website banata hai to is ke zehen mein yeh khayaal zaroor hota hai ke woh is Sy paisay kama sakay .
agar aap sach mein hi paisay kamaana chahtay hain to is post ko and tak laazmi prdye ga.

1: SEO.

SEO kya hai.s e o ka matlab hai search engine optimization,
ab kayi aisay log hon ge jin ko is ka pata hi nahi hai aur bohat saaray aisay log hain jo thora bohat jantay to hain lekin is ko theek se nahi karte .
aap ko yahan par aik misaal deta chaloon shayad aap ko samajh aa jaye.
farz karo aap ne aik dokaan banai hai jis mein aap ne bohat sara samaan laa kar rakh diya hai. aur is ko aap ne tarteeb se nahi rakha sara samaan laa kar is ke andar pheink diya hai. jis ki koi tarteeb nahi di aap ne ab agar koi customer aap ki dokaan par aata hai aur aap se kisi cheez ki demand karta hai ke mujhe falan cheez do tab aap is ko kahin ge kuch der ruk jao mein tum ko dhoond deta hon customer thora weight to kere ga shayad agar aap ko mil gayi woh cheez to theek hai nahi to is ne aap ki dokaan ko chore kar doosri dokaan par chalay jana hai.
agar aap apni dokaan mein cheezon ko tarteeb se rakhtay hain to aap ke paas jab bhi koi customer aaye ga to aap is ko fori tor par day do ge jis cheez ki woh demand kar raha hai.
aisay hi hum apni Website to bana letay hain lekin is ki prapr tareeqay se settings nahi karte jis ki wajah se hamari Website Google par rank nahi karti.
aur hum ko is Website se acha result nahi milta jo hamein chahiye.

2 : Article kis terhan se apni Website par aplod karen.

article jab bhi aap likhain is baat ka khaas khayaal rakhen. aap jo article likh rahay hain woh unique ho, matlab aatrective ho. article pera graph mein ho aur mean ki word ko ko bold kar ke likhain. aur article mein italic aur under line fonts ka istemaal zaroor karen. is ke baad  apne keywords mein link bhi add kar liya karen.
is se aap ki Website ziyada jaldi rank kar jaye gi. aur aap ke article mein lafzon ki tadaad kam se kam bhi 2000 ke qareeb ya is se ziyada honi chahiye, is se Google yeh samjhay ga ke is Website par poori tafseel ke sath article ko aplod kya gaya hai. jab aap article likh len to tab is ko check kar len kisi free walay plugresume main is se aap ko pata chal jaye ga ke aap ka kitna article copy right hai aur kitna original hai.

3 : image ka istemaal article mein.

agar aap ke paas apni koi article ke related image hai to is ko istemaal karen.
ya un Website se pixel.com shutterstock.com koi bhi free image ka istemaal kar satke hain .
image ko jab aap apne article mein insert kar len tab is kar sar le ja kar click karen aur image ka size bara kar len aur alt  aur title text par jo aap ne post ka title rakha hai woh paste kar den.
is ka faida aap ko yeh ho ga ke Google par aksar log image dhoond kar down load karte hain. woh jab bhi Google mein apna cured likh kar search karte hain tab aap ki picture bhi Google ke page mein show ho jaye gi. jis ki madad se aap ka article bhi rank ho jaye ga.

4 : search description.

post ke search description mein aap mean mean cured ko laazmi likha karen. is ka fawaid yeh hain ke koi bhi visitor Google mein search karta hai to aap ki Website par bhi visitor zaroor visit kere ga.

5 : social net working.

koshish karen jitne bhi free walay social net work hain un par apni Website ke naam se account zaroor banayen, aur un mein post ke you are ail aplod karte rahen is se aap ki earning bherne ke bohat ziyada chance bantay hain.


Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)