Hamein aksar jism ke kisi hissay ke sun honay par soyyan chubti hui kyun mehsoos hoti hain aur usay roknay ke liye kya karna chahiye?

1
kya aap ko kabhi apne haath, paiir ya kisi aur hissay ke sun honay ka ehsas sun-hwa hai? jo thora hilanay jalanay par aisa mehsoos hota hai jaisay achanak kayi soyyan aik sath chabhoi jarahi hon ya phir chyontyon ka aik qaafla is makhsoos hissay par ring raha ho. tib aur syce ki duniya mein is kefiyat ko (paresthesia) ka naam diya gaya hai. jism ka woh uzoo jo sun hogaya ho hilanay jalanay par achanak taiz soi chubne jaisa ehsas peda karta hai jo kabhi kabhar bohat takleef da hota hai. yeh is liye hota hai ke sun hotay hue aap ke jism ke is hissay mein khoon ki gardish kam hogayi thi jis ki wajah se woh be jaan mehsoos ho raha tha Albata dobarah harkat dainay ki wajah se is mein halki si chubhan ka ehsas hota hai. daimi paresthesia agar aap ko ya aap ke kisi Aziz ko aksar hi aisay sun ya soyyan chubne ka ehsas hota hai to yeh kisi dosray maslay ki janib ishara ho sakta hai jaisay ke kisi purani aasabi chout ya phir aasabi bemari ya phir koi tumor waghera. paresthesia se mazeed kya masail ho saktay hain? aam tor par yeh kefiyat thori si harkat karne ke baad khud hi theek hojati hai Albata is ki wajah se kuch doosri aur qadray barri taklifoo ka saamna bhi karna par sakta hai jaisay ke 
khoon ki gardish mein dushwari thakawat aur neend mein kami ke baais ghair mamooli andaaz mein sona chalne phirnay ya gaari chalanay mein dushwari girnay ka khatrah sun ya soyyon ki takleef ko kaisay kam kya jaye? jab aisi takleef mehsoos ho to usay werzish kar ke, halkay halkay khech kar ya halkay haath se massage kar ke khatam kya ja sakta hai. lekin agar sorat e haal sanjeeda hojaye to mualij se rujoo karna behtar hoga. kis soorat mein mualij ke paas jana chahiye? agar aap baar baar kisi hissay ke sun honay ka shikaar hotay hon. sun aahista aahista jism ke dosray hisson mein phialta ho. saans lainay mein takleef hoti ho. Basarat mein masla ho raha ho. bolnay mein dushwari hoti ho. jism mukammal tor par so jata ho. sir, gardan ya peeth par kuch lagnay ke baad sun ki kefiyat peda hoti ho.

Post a Comment

1Comments
  1. This post clears a lot of confusions. The wording is easy to understand and useful. Thanks for this information.

    ReplyDelete
Post a Comment