31 Interesting Facts About Space.

0

zameen se dekhnay par aasman Blue aur space se dekhnay par black kyun dikhkta hai,

science daan zameen par mojood Oceans se ziyada 180, 000, 000 km  daur marse ko ziyada kyun jantay hain aur space par mojood Astronaut ka qad kaisay bara hojata hai.


 

dostoo yeh hai milky way galaxy aur is galaxy mein matti ke zarra barabar hai hamari zameen jis par hum rehtay hain,
herat ki baat yeh hai ke aisi ( 125arab ) aur Galaxies poori universe mein mojood hain.
aur aaj is blog mein aap jaanen ge hamari duniya ke gird space ke baray mein chand amazing affects.
No.1.    1977  mein Nasa ne aik space craft di space mein jane ke liye lanch kya tha,
is space craft ka naam ( voyager 1 ) hai jo 2012 mein interstellar space mein daakhil hwa tha aur fill waqt yeh zameen se
22, 000, 000, 000 kilometer ke faaslay par mojood hai,
aur musalsal Nasa ko is universe ki Pictures bhaij  raha hai.
No.2.zameen par rehtay hue hum rozana aik chaand dekhte hain,
lekin hamaray solar system mein aik Plind aisa bhi hai jis par 79 chaand hain jee haan jupiter zameen se 907, 000, 000 kilometer daur hai is ke total 79 chaand hain. ( mercury ) aur ( venus ) hamaray solar system mein wahid Planets hain jin ke paas aik bhi chaand mojood nahi.
3. science ke mutabiq zameen par insaan aaj se 50 laakh saal pehlay aaya tha lekin hamara solar system insaan ke anay se bhi
4, 500, 000, 000 pranh hai.
4. mavnt everest hamari duniya ka sab se ouncha pahar hai,
jo duniya ki sab se onche building burj khalifa se das gunna ouncha hai.
lekin heran kar dainay wali baat yeh hai ke maont everest se bhi 3 gunna aik pahar marse par mojood hai jo olympus mons ke naam se jana jata hai.
5. light ki speed 1, 800, 000, 000 kilometer par hour hai agar koi cheez is speed se space mein aik saal tak travel karti hai aur aik saal baad woh jitna bhi distance tay kere gi is ko one light year bola jata hai.
6. hamari zameen milkiway galaxy ka hissa hai yeh galaxy  105700 light years jitni barri hai aisi 125 arab aur Galaxies poori duniya mein mojood hain jin ka abhi tak hum ne Surag lagaya hai.
7. aik andazay ke mutabiq Sooraj ka wazan zameen se 330, 000 times ziyada hai.
8. total 11 logon ne chaand par qadam rakha tha Nasa ke mutabiq chaand par un ke jooton ke nishaan abhi tak mojood hain aur kabhi bhi nahi miten ge kyunkay chaand par Air mojood hi nahi hai jo nishanaat ko mita sakay.
9. agar kisi insaan ka wazan zameen par 80 KG hai to marse par jane ke baad is ka wazan 60 % less yani 48 kg reh jaye ga kyunkay marse par zameen ke muqablay mein kam gravity hai.
10. zameen par aik din poooray 24 hours ka hota hai lekin marse par aik din 24 : 39. 35 ka hota hai isi terhan zameen par aik saal 365 din ka hota hai lekin marse par aik saal 687 din ka hota hai,
kyunkay zameen ke muqablay mein marse Sooraj se ziyada daur hai to is ko Sooraj ke gird chakkar laganay mein ziyada time lagta hai.

11. chaand ka diameter 3474 kilometer hai is ka matlab yeh hai ke agar chaand America par fit hona chahiye to aaraam se ho sakta hai is ky bawajood bhi America mein bohat saari jagah bach jaye gi.
12  samandar mein onche laharen  air  ke chalne se nahi banti balkay chaand ki wajah se banti hain kyunkay chaand ki gravity zameen par mojood pani ko apni taraf khainchti hai.
13. ( pluto ) size mein itna chhota hai ke woh India mein fit aa sakta hai.
14. sir ke uopar baal kitney hain yeh account karna possible to hai lekin aasman par kitney star hain yeh account karna na mumkin hai science daano ke aik Rough Estimate ke mutabiq poori duniya mein rait(sand) ke jitne zarraat hain is se bhi ziyada space mein star hain.
15. international space station space mein mojood insaan ki sab se barri banai hui cheez sab se mehngi hai.
16. space mein kisi bhi Liquid ko free chorra jaye to woh apne aap  ( sphere ) ban jaye ga.
17. arth par 3 hissay pani aur aik hissa zameen ka hai
Earth par jitna bhi pani hai is ka sirf hum insaan 5% sirf explored kar chuke hain lekin arth se 18 crore kilometer marse par pani ki talaash mein insaan abhi tak 15 object bhaij chuka hai.
18. duniya mein chahay kitna bara  Telescope hi kyun nah ho 5% se ziyada universe ko nahi dekh sakta.
19. Sooraj ki roshni ko zameen tak pounchanay mein 10 minute lagtay hain yani Sunset ke douran jab Sooraj is point par hota hai woh asal mein senate kar chuka hota hai hamein 10 minute baad pata lagta hai.
20. international space station 24 hours mein hamari duniya ke gird 16 chakkar laga chuka hota hai yani har 92 minute mein aik chakkar complete karta hai.
21. science daano ko space se 2016 mein aik radio signal masool hwa jo taqreeban
5, 000, 000, 000 light Years daur se aaya tha is ka matlab yeh hwa jis waqt yeh signal itni daur se Transmit hwa tha is waqt hamari duniya bhi mojood nahi thi.
22. Earth par hum ne aasman se pani ki barish aur barf ko girtay to dekhi ha ,
lekin ( venus ) par barish ( sulfuric acid ) ki hoti hai aur barf ki jagah aasman se loha girta hai.
23. space bilkul khamosh hoti hai itni khamosh ke aik sath Astronaut ki aawaz bhi sunai nahi deti kyunkay aawaz hamaray kaanon tak air  ke zariye aati hai aur space mein mojood nahi hai.
24. space mein jatay hi  Astronaut ki height ( 5cm ) barh jati hai kyunkay space mein Gravity na honay ki wajah se insaan ke andar ( bone joints ) expand ho jatay hain.
25. international space station Earth par 90% population ko dekh sakta hai jab bhi aasman par setaaray jaisi taiz raftaar cheez dikhe to samajh jao yeh space station hai.
26. space mein  Estro Nautis ko dakaar nahi aa sakti kyunkay Gravity na honay ki wajah se pait mein mojood Gases khanay se allag nahi ho sakti isi terhan Gravity na honay ki wajah se likhnay wala Writing pen bhi kaam nahi karta.
27. har saal chaand hamari duniya se 4 centi meter daur hota ja raha hai.
28. bay shak arth aur marse aik hi Sooraj share karte hain lekin arth par sanset orange colour ka hota hai aur marse par Blue colour hota hai.
29. space mein beshumar Asteroids ghoom rahay hotay hain agar woh hamari duniya mein daakhil ho jayen to bohat nuqsaan pouncha satke hain, lekin aik aisa  Plaind hai jo hamari Earth par anay walay Asteroids ko apni taraf khech kar hamein mehfooz rakhta hai aur woh Plaind hai ( jupiter ) jo hamaray solar system ka sab se bara Plaind hai jo apni gravity ki wajah se asteroid ko apni taraf khech laita hai.
30. hamari zameen matti aur pathar se bani hui hai lekin hamari duniya se
(40light years) daur aik aisa Plaind hai jahan matti aur pathar ki bajaye diamonds hi diamonds hain is Plaind ko super Earth ka naam diya gaya hai.
31. zameen se dekhnay se aasman neela aur space ki picture se black daikhta hai.
umeed karta hon is blog se zaroor aap ke ilm mein izafah sun-hwa hoga agar mujh se blog likhnay mein koi ghalti hui ya aap apni koi raye dena chahtay hain to comment karen ,

agar aap is terhan ke blog parhna chahtay hain to mere is blog follow kar len,
shukriya.

Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)