Solution of Low Views Problem on YouTube

0

 


Asslam-O-Alaikum

Friends main umeed karta hon ke aap sab khariyat se hon gai.

aaj ke is blog me main aap ko baton ga ke aap apne you tube channel par view kis tarhan se la sakte hain.

Friends hota kuch yon hai ke aap jab bhi you tube par video upload karte hain to aap baar yeh check karte hain ke us ke oopar view aye hain ya nahi.

Aap baar baar us page ko refresh karte hain ke shayad koi view aa he gia ho.

Lakin aesa nahi krna chaiye aesa karne se views nahi brdhte.

Yeh har new youtuber karta hai 40 ya 50 views ke bad jab views nahi aate tab aesa karta hai.

Friends aap ne you tube studio app ke andar ja kar yeh three kam karne hain jin se insha Allah aap ke views zaror brdhna start ho jayen ge.

Sab se pahle aap ne youtube studio aap ko open kar lena hai open karne ke bad aap ne aa jana hai Analytics main an ke bad aap ne teen chezon ka dihyan rakhna hai.

Aap jaise he analytics par click Karen ge to aap overview par aa jayen ge lakin aap ne content ke opar click karna hai.


Content ke opar ane ke bad hain wo three setup jin ke bary main aap sekhen ge.


1.Impressions.

Impressions kia hota hai ke aap jab you tube open karte hain to aap ke samne jitni videos show ho rahi hoti hain un ka aik aik impression account ho raha hota hai.


Yeh impression tab he jaa kar brdhte hain jab aap ka thumbnail acha ho ga.

2. Impressions click through rate.

Impression through rate asal main hota hai CTR is ka matlab hai ke kitne clicks aa rahe hain aap ke thumbnail  par is murad yeh hai jitna acha aap ka thumbnail hoga utne he ziyada clicks ayen ge.

Koshish Karen ke thumbnail ache acha banyen is se aap ka CTR brdhe ga.

Jab aap ka CTR brdhta hai tab aap ke automatically aap ke impression brdhna start ho jaye ga.

3. Average view Duration.

Average view duration ka matlab hai ke aap ki video kitni dekhi jaa rahi hai agar aap ki  five se six mints video three mints tak dekhi jati hai mtlib ke aap ke subscriber hain 1500 kar len ya ziyada kar laen us main 500 logon ne ya ziyada logon ne dekhi hai 3 mints tak to you tube aap ki video ko aage viral kare ga khod ba khod.


Ab main aap ko yeh bata deta hon aap ke aap ne apni video ke opar audinse ko kaise rokna hai to aap ne apni video ko step by step cover krna hai mtlb start main aap ne batana hai keh kia aap baat karne wale hain kia aap ka topic hai us ke bad aap ne 2nd step main aap ne batana hai keh aap ko is video ko dekhne se kia kuch hasil hone wala hai kia aap sekhne waly hain 3rd main aap ne batana hai keh agr aap ki video koi bech main chord kar ja raha hai to us ko kia nuqsan hone wala hai.

Matlb aap ki 3 step jo hain un ke bare main aap ne short   video banana hai jo aap ki video main frst par show ho matlab yeh keh aap ny jitni bhi video bani hai us ka aik trailer  bnana hai jo taqreban 2 se 3 mints ka lazmi hona chaiye us ke bad aap ki video start honi chaiye.

Mian umeed krta hon keh is article se zaror aap ko kuch sekhne ko mila ho ga agr article aap ko acha laga hai to is share zaror kar dijye ga.

 

 

Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)