Assalam-O-Alaikum
Dear friends aaj ke is blog me main Aap logon ko btaon ga ke Aap kis trhan blogger website par responsive table add kr sakte hain.
1.How to use a responsive table in blogger
Acha phale me Aap ko yeh clear kr don ke Aap Ne wo use kis wjhan se karne Hain.
Agr Aap apni blogger website main mobile phone ke bare main ya Aap jobs ke bare main post likhte Hain tab Aap ko is ki zarort hai.
Blogger par wo sare Feature majod nhi Hain Jase WordPress site par chezen (plug resume)
Hote Hain blogger main Aap ko bhot ziyada mhant krna ho gi jis Se Aap ke blogger website ki lok bhi wesi he dikhi jis trhan WordPress site par show Hoti Hain aaj ki is post main to main Aap ko responsive table ke bare main Bata rha hon Aap mere blog ko follow kar len kiyonke main is website par blogger ke related post publish krta rhta hon.
2. How to add responsive table css code in blogger.
Blogger main responsive table add krne ke Liye Aap Ne Sab se phle apni blog site open kar Leni hai.
Us ke bad Aap Ne blogger ke dashboard par aa Jana hai dashboard par ane ke bad Aap Ne theme wale Section par click kar Dena hai.
Us ke bad Aap ke pas 1 chota sa menu open ho ga is me Aap Ne edit to html ke oper click kar Dena hai agr Aap laptop ya PC computer se open kar Rahe Hain to Aap Ne theme ka section open Hoga us ke andar khen bhi click kar Dena hai click krne ke bad Aap Ne Apne keyboard se (control+ F) ka baton pres krna hai for windows user.
Aor agr apple MacBook ka use Karte Hain to Aap Ne (CMD+F) click kar Dena hai.
coding wale section ke top par search karne ke Liye 1 choti si bar open ho gi us main Aap Ne is code ko past krna hai.
</b:skin>
aor enter ka button pres kar Dena hai.
Phr Aap Ne </b:skin> ke oper is code ko past krna hai is ko Aap apni Marzi Se adjust kar sakte Hain.
👇
Code ko paste krne ke bad Aap Ne save kar Dena hai theme ko aor wapis aa Jana hai dashboard par whan se Aap Ne post wale option par click krna hai aor whan par Aap Ne new post ke oper click kar Dena hai hai agr aap Ne us blog site par phle bhi koi post submit ki hoi hai to Aap us ko bhi edit kar sakte Hain.
Post wale option main ane ke bad Aap Ne compos to html ke oper click kar Dena hai aor Apni us post main agr Aap koi photo lgana chate Hain to us main photo ko add kar len.
Us ke bad Aap Ne is code ko us photo ke niche past kar Dena hai.
Is code main Aap apni Marzi Se Kuch bhi change kar sakte Hain
👇